Friday, February 5, 2010

Nani Maa

Haseen Pyaari Boli Shahed Ke Jaise Meethi
Hai Naram Jaisi Ruhi Nani Maa
Kahaniyaan Sunati Pehliyaan Bujaati
Thapak Thapak Sulaati Nani Maa
Tumhi Ho Meri Lori Tumhi Meri Kahani
Tumhara Pyaar Bachpan Ki Ek Haseen Nishani
Tumhi Ne Di Thi Gudiya Jo Thi Meri Saheli
Tumhara Hi Tha Aangan Main Kal Thi Jis Mein Kheli

Tumhi Ne Tha Bataaya Hai Rang Kitne Sare
Tumhi Ne Tha Bataaya Hai Phool Kitne Pyaare
Tumhi Ne Tha Sikhaaya Badon Se Kaise Boloon
Tumhi Ne Tha Sikhaaya Dupatta Kaise Odhoon
Woh Pyaar Se Bulaati Woh Pyar Se Sikhaati
Woh Kuch Na Kuch Bataati Nani Maa

Tumhi Ne Mere Dil Mein Mohabbatein Hain Gholi
Tumhi Se To Suni Thi Jo Bolti Hoon Mein Boli
Tumhi Ne To Kaha Tha Jo Bolta Nain Hain
Hameshaa Yaad Rakhna Ke Zindagi Haseen Hain
Woh Har Subhah Jagaati Mithaayeya Khilaati
Hameshaa Muskuraati Nani Maa
Haseen Pyaari Boli Shahed Ke Jaise Meethi
Hai Naram Jaisi Ruhi Nani Maa

No comments:

Post a Comment

Followers